zindagi ke gham lakhon aur chashm-e-nam tanha

zindagi ke gham lakhon aur chashm-e-nam tanha
hasraton ki mayyat par ro rahe hain hum tanha

mil saka na koi bhi ham-safar zamane mein
katte rahe barson jada-e-alam tanha

khel to nahin yaro raste ki tanhai
koi hum ko dikhlae chal ke do-qadam tanha

dil ko chhedti hogi yaad-e-raftagan akasr
lakh ji ko bahlaen shaikh-e-mohtaram tanha

masjiden tarasti hain us taraf azanon ko
is taraf shiwalon mein rah gae sanam tanha

is bhari khudai mein wo bhi aaj akele hain
khalwaton mein rah kar bhi jo rahe the kam tanha

thi 'qatil' chahat mein un ki bhi raza shamil
phir bhi hum hi thahre hain morid-e-sitam tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close