zindagi ko na-muradi se koi shikwa nahin

zindagi ko na-muradi se koi shikwa nahin
ab agar patthar se takraun to sar phahtta nahin

pi rahi hai qatra qatra mere khwabon ka lahu
main hun duniya ke liye mere liye duniya nahin

mit chuke hain dil se yun haalat ke dhundle nuqush
jis tarah guzra hua lamha kabhi aata nahin

bhuk kheton mein khadi hai jeb mein mahngai-band
shahr aur bazar mein galla kahin milta nahin

apne pahlu mein samete ho gham-e-hasti ka nur
aisa koi falsafa insan ko milta nahin

koi paigham-e-tamanna koi paigham-e-amal
sirf kah dene se to duniya mein kuchh hota nahin

koi roe ya hanse 'parwaz' mujh ko gham nahin
main to zinda hun mera ehsas-e-dil zinda nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close