zist be-waada-e-anwar-e-sahar hai ki jo thi

zist be-waada-e-anwar-e-sahar hai ki jo thi
zulmat-e-bakht ba-har-rang-o-nazar hai ki jo thi

ishq barbaad-kun-e-rahat-e-dil hai ki jo tha
shokhi-e-dost ba-andaz-e-digar hai ki jo thi

aaj bhi koi nahin puchhta ahl-e-dil ko
aaj bhi zillat-e-arbab-e-nazar hai ki jo thi

khud-parasti ka riwaj aaj bhi hai aam ki tha
rasti aaj bhi mohtaj-e-asar hai ki jo thi

aaj bhi jazba-e-ikhlas pareshan hai ki tha
aaj bhi dida-wari khak-basar hai ki jo thi

aaj bhi ilm-o-hunar ki nahin koi waqat
ab bhi na-qadri-e-ashab-e-hunar hai ki jo thi

aaj bhi mehr-o-wafa ki nahin qimat koi
aaj bhi manzilat-e-kisa-e-zar hai ki jo thi

kaamrani pe hai nazan hawas-e-hech madar
aashiqi aaj bhi ba-dida-e-tar hai ki jo thi

ruh-e-ikhlas to dar-band hai be-pursish-e-haal
midhat-e-husn sar-e-rahguzar hai ki jo thi

saf-goi ko samajhte hain yahan aib ab bhi
zehniyat aaj bhi aaluda-e-shar hai ki jo thi

asp-e-tazi ko mayassar nahin chaara 'shoala'
aur tan-zebi-o-araish-e-khar hai ki jo thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close