narm aawazon ke bich

narm aawazon se ek nili khamoshi hai rawan
yak-ba-yak ud gae

wo kale parind
jin ke sayon se shuaon mein thi ek be-khwabi

ab wahi khufta-mizaji wahi be-harf khumar
narm aawazon ki thapki se

ye sab hosh o hawas
apne izhaar ke bahte hue dariya ki jagah

barf ki jhil bane
chikh jo naghma-e-azad si lahraati thi

naghme mein gharq hui
wasl ki shab mein wahi shama bani

thartharaati hi rahi
hont jo tegha-e-ejaz pe chaspan the wo sab

ek sahafi ka qalam ban ke rahe be-mani
narm aawazon ke sailab mein ai kash kabhi

hadsa ho koi kashti kisi sahil se kahin takra jae
phailti raat kabhi tharra jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close