aadmi

la-intiha jahan-e-mujassam se bhi siwa
la-muntaha zamanon mein rahte hue ye abad

qarnon se rengti hui taqwim-e-kaenat
aab-o-gil-o-shuur sar-e-do-jahan adam

la-falsafa nihayat-e-fahm-e-payambari
zauq-e-numu ki hath mein rekhaen dam-ba-dam

kya jaaniye ki kitne baras ka hai ye charagh
tahzib-e-sokhta hai ayagh-e-huruf mein

fikr o khirad ki bahr o talatum mein kashtiyan
ubhrin kahin to rizq-e-samundar kahin huin

is ehtimam-e-khwab-e-tahayyur mein main nazhad
tanha khada hun apni numaish ke waste

main bhid ke nawah mein madum aadmi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close