abhi mara nahin zinda hai aadmi shayad yahin kahin use dhundo yahin kahin hoga badan ki andhi gupha mein chhupa hua hoga badha ke hath har ek raushni ko gul kar do hawaen tez hain jhande lapet kar rakh do jo ho sake to un aankhon pe pattiyan kas do na koi panw ki aahat na sanson ki aawaz dara hua hai wo kuchh aur bhi na dar jae badan ki andhi gupha se na kuch kar jae yahin kahin use dhundo wo aaj sadiyon baad udas udas hai khamosh hai akela hai na jaane kab koi pisli phadak uthe us ki yahin kahin use dhundo yahin kahin hoga barhana ho to use phir libas pahna do andheri aankhon mein suraj ki aag dahka do bahut badi hai ye basti kahin bhi dafna do abhi mara nahin zinda hai aadmi shayad
This is a great gupta shayari. True lovers of jhandu shayari in urdu will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this pagli shayari new is truly a work of art. Please share if you liked this!!!