zamane bhar mein aaina sadaqat ki alamat hai magar mein is ka munkir hun bahut jhuta hai aaina kabhi wo dew-qamat hastiyon ko ek dam bauna dikhata hai tilasmati hai aaina kabhi pasta-qadon ka qad bahut uncha dikhata hai bahut bahrupiya hai wo koi farba ho to us ko bahut dubla dikhata hai bahut hi maskhara hai wo chalo jaane bhi do ki aaina insan ki fitrat mein shayad dhal gaya hoga magar kuchh shoabda-bazi ki had bhi hai ye aaina to mujh se bhi hamesha makr karta hai jo mera hath ho sidha to wo ulta dikhata hai agar ulta dikhata hun to phir sidha dikhata hai bahut jhuta hai aaina magar aaina-e-ayyam mein takzib-e-aina ki haisiyyat bhala kya hai khuda jaane magar tarikh kahti hai yahi takzib-e-aina, zamane bhar ke shishagar qabile ke liye khatraat ka tasdiq-nama hai meri tazrib-e-paiham se ye aainon ke saudagar shikasta hain shikasta kaifiyat mein mujh se ye daryaft karte hain ki aakhir kaun ho tum ji tumhein in aainon se dushmani kyun hai hamesha aainon ka munh chidhate ho, sada tazhik karte ho tum aakhir chahte kya ho to lo main aaj ye elan karta hun mere is ahd ke shishagaro, saudagaro sun lo! suno, aagah ho jao main shaer hun main aaine ko aaina dikhata hun!