aaKHiri sach

chehre tamam dhundle nazar aa rahe hain kyun
kyun khwab ratjagon ki haweli mein dab gae

hai kal ki baat ungli pakad kar kisi ki main
mele main ghumta tha khilaunon ke waste

jitne waraq likhe the meri zindagi ne sab
aandhi ke ek jhonke mein bikhre hue hain sab

main chahta hun phir se sametun ye zindagi
bachche tamam pas khade hain bujhe bujhe

shokhi na jaane kya hui rangat kahan gai
jaise kitab chhod ke jate hue waraq

jaise ki bhulne lage bachcha koi sabaq
jaise jabin ko chhune lage maut ka araq

jaise charagh nind ki aaghosh ki taraf
badhne lage andhere ki zulfen bikher kar

bhule hue hain hont hansi ka pata talak
darwaza dil ka band hua chahta hai ab

kya sochna ki phul se bachchon ka sath hai
ab main hun aspatal ka bistar hai raat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close