koi batlae mujhe mere in jagte khwabon ka muqaddar kya hai? main ki har shai ki baqa jaanta hun udte lamhon ka pata jaanta hun sard aur zard sitaron ki tiqapu kya hai rang kya chiz hai khushbu kya hai subh ka sehr hai kya, raat ka jadu kya hai aur kya chiz hai aawaz-e-saba jaanta hun ret aur naqsh-e-qadam mauj ka rum aankh aur gosha-e-lab zulf ka kham sham aur subh ka gham sab ki qismat hai fana jaanta hun phir bhi ye khwab mere sath lage rahte hain jagte khwab ki jin ki koi tabir nahin koi tafsir nahin surat-e-zakhm hare rahte hain mere hathon se pare rahte hain aagahi jahl se bad-tar thahri jagte khwab ki tabir muqaddar thahri zindagi mere liye gumbad-e-be-dar thahri main ki aawaz-e-saba jaanta hun udte lamhon ka pata jaanta hun aur har shai ki baqa jaanta hun
Please share if you liked this!!!