agar tum bechna chaho

agar tum bechna chaho
adaen bhi wafaen bhi

hasin khwabon ke rangon ki ridaen bhi
ye duniya hai

yahan aawaz bikti hai
yahan taswir bikti hai

yahan par harf ki hurmat
yahan tahrir bikti hai

ye bazar-e-jahan ek be-karan gahra samundar hai
yahan par kashtiyan sahil pe aa kar dub jati hain

musafir mar bhi jate hain
magar raunaq nahin jati

ye insanon ka jangal hai
aur is jangal ka saman har waqt rahta hai

agar tum bechna chaho
adaen bhi wafaen bhi

hasin khwabon ke rangon ki ridaen bhi
mere dil mein bhi ek bazar sajta hai

jahan par sham hote hi hujum-e-yas hota hai ghamon ki bhid lagti hai
kai yusuf sar-e-bazar bikte hain agar tum bechna chaho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close