ai ruh-e-zindagi

ai ruh-e-zindagi
ai khuda ki quwwat-e-takhliq

kaun si nai duniyaen aabaad karne mein masruf ho gai hai tu
is hamari duniya ki jaanib bhi palat kar dekh

jo lamha-ba-lamha viran se viran-tar hoti ja rahi hai
ai ruh-e-zindagi

ai awwalin raushni ki abadi lau
maut ke andheron ko chirti hui aa

dekh main bazu khole khada hun
aa aur apni lapet mein le le mujhe

meri aankhon se dekh
mere zehn se soch

mere khwabon mein utar kar makhluq-e-khuda ki aarzuon ka andaza kar
mere dil mein padaw kar

is ke shikasta aaine mein hamari haalat dekh
aur naghma chhed

jo kamzoron ki tuti hui himmat ko az-sar-e-nau jawan kar de
wo sur phunk

jo zalimon ke dast o bazu ko tod kar rakh de
wo aah bhar jo faqon marti makhluq par rizq ki barish ban kar baras jae

wo sada kar
jo niyat ke futur ko husn-e-khayal mein

aur natije ki aziyyat ko husn-e-amal mein badal de
ai ruh-e-zindagi

ai khuda ki quwwat-e-izhaar
meri duniya mein tere rang phike pad gae hain

dekh arbon insan jite-ji mar rahe hain
na-insani bad-amni mayusi bimari aur jahaalat ne

teri taswir mein maut ke rang bharne shurua kar diye hain
aa, aur bol mere andar se

aa, mera kalam ban ja bayan ban ja mera qalam ban ja mu-qalam ban ja
aa, insaf amn aur aazadi ko tarse huon ki ummid ban ja

aa, dosti mohabbat aur barabari se mahrum makhluq ki dhaaras bandhane aa
aa, aur jaldi aa

ki tujhe pukarte pukarte kahin main hath tod kar na baith jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close