andesha-e-visal ki ek nazm

shafaq ke phul thaali mein sajae sanwli aai
charaghon se lawen khinchin darichon mein nami aai

mein samjha us se milne ki ghadi aai
hawa jarub-kash thi aasman-asar tinkon ki

jise apni suhulat ke liye duniya ye tan-asan duniya ek murawwat mein
hujum-e-khalq kahti hai

meri aankhen tahi gul-dan ki surat munderon par
gali se uthne wali gard ko titli batati hain

ye manzar munjamid ho kar safar aaghaz karta hai
lahu ki barq-raftari tanaben khench leti hai

ye kaisi sham-e-shahzadi
shafaq ke phul thaali mein sajae zina-e-shab se utar aai

mein samjha us se milne ki ghadi aai
salakhon se lahu phuta lahu mein raushni aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close