baadal

chhae hue hain chaar taraf para-ha-e-abr
aaghosh mein liye hue duniya-e-ab-o-rang

mere liye hai un ki garaj mein surud-o-chang
paigham-e-imbisat hai mujh ko sada-e-abr

utthi hai halke halke suron mein nawa-e-abr
aur qatr-ha-e-ab bajate hain jal-tarang

gahraiyon mein ruh ki jagi hai har umang
dil mein utar rahe hain mere naghm-ha-e-abr

muddat se lut chuke the tamanna ke bar-o-barg
chhaya hua tha ruh pe goya sukut-e-marg

chhoda hai aaj zist ko khwab-e-jumud ne
un baadalon se taza hui hai hayat phir

mere liye jawan hai ye kaenat phir
shadab kar diya hai dil un ke surud ne!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close