baaten karo

raat-bhar iqrar ki baaten karo
subh-dam inkar ki baaten karo

uljhanen dil ki badhani hon agar
gesu-e-khamdar ki baaten karo

hain nigahen sair aur abru kaman
yar ba-hathiyar ki baaten karo

mah-washo itne bure bhi hum nahin
aao hum se pyar ki baaten karo

sirf pahli hi ke din ai dosto
saz aur jhankar ki baaten karo

dusri ko bach gae paise agar
kucha-o-bazar ki baaten karo

das talak chilllar agar baqi rahe
chae par akhbar ki baaten karo

bis aur ikkis ko ahbab se
charkh-e-na-hanjar ki baaten karo

qarz-e-hasana le ke tum untis tak
ghar ke karobar ki baaten karo

tis ko baaten karo iktis ki
ya dil-e-bimar ki baaten karo

aakhiri din khub ghusse mein raho
hujjat-o-takrar ki baaten karo

phir usi shab subh ki ummid mein
mithi mithi pyar ki baaten karo

tum se ye kis ne kaha tha 'khwah-makhwah'
is tarah be-kar ki baaten karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close