mere malik kya hum bandiyan hain jo aag mein jala kar mar di jaen hum wo jawaniyan hain mohabbat ke nam par jo masal di jaen hum wo kaliyan hain hawas ka nishana bana kar jin ke par noch liye jaen hum wo titliyan hain jo maslahat ke nam par qurban kar di jaen hum wo betiyan hain jo sharai jaedad se mahrum kar di jaen hum wo bahnen hain mere malik kyun hum bandiyan hain