barsat

baadal garaj raha hai bijli chamak rahi hai
pur-kaif hain fazaen har shai damak rahi hai

baad-e-khunuk chaman mein bal kha ke chal rahi hai
barg-e-hina ki rangat pahlu badal rahi hai

chehre pe yasiyat ke nur-e-shabab chhaya
makhmal ka sabz qalin fitrat ne yun bichhaya

mayus har shajar ne badla libas apna
har murgh-e-khush-nawa ne chheda naya tarana

nikli sada-e-bulbul koyal ki kuk gunji
chidiyon ki chahchahahat lutf-e-hayat lai

tezi mein aa gai hai dariyaon ki rawani
maidan khet basti har samt pani pani

chashme ubal rahe hain nahren shabab par hain
naghmat-e-naujawani chang-o-rubab par hain

phulon se aur phalon se shakh-e-shajar ladi hai
ushshaq ke dilon mein uljhan si pad gai hai

sarsabz ho gaya hai viran sara jangal
jangal mein mach gaya hai har-su khushi ka mangal

khushbu-e-jaan-faza se har jaanwar magan hai
un ke rag-e-amal mein wo josh maujzan hai

inam-e-be-baha hai qudrat ka ye nazara
'sahil' sukun-e-dil hai fitrat ka ye nazara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close