be-nishan

hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya
ki wo mard napaid ho jaenge

jinhen khuda ne ek darje upar rakha
zara un maon ke dudh ko jaancho

is ko pi ke parwan chadhne wala bachcha
be-kirdar ho jata hai

kisi hijde ya zankhe pe lan-tan mat karo
wo apne siwa kisi ka mazaq nahin udata

aur ab aane wali sadiyon mein
jo naslen paida hongi

wo kisi zankhe ya hijde se ziyaada qabil-e-rahm hongi
so hamein mat dikhao ye hasab-nasab

hum ne ye sare ghurur nadi nalon mein bahte hue dekhe hain
hamein qayamat ki nishaniyon mein ye nahin bataya gaya

ki ek waqt aisa aaega
jab kisi ki koi shanakht nahin hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close