buDhapa

yun guman ho raha hai mere nadim
jaise ab gulsitan mein rang nahin

jaise ab dil mein kuchh umang nahin
aasman badliyon ki zad mein hai

zard-alud hain fazaen bhi
surkh suraj ki kapkapati kiran

chhu rahi hai ufuq ke sae ko
phailti ja rahi hai shab ki lakir

sehn-e-zindan ke chaar-payon par
dubti meri khwabida aankhen

dekhti jati hain purane khwab
guzre ayyam ke adhure khwab

zindagi se bhare sisakte khwab
dast-o-bazu hain kitne pazh-murda

nabz-e-hasti hai kitni aahista
ek dil hai ki dhadke jae hai

jaise girdab ta-safina koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close