chiDiya-ghar ki sair

hum sare school ke bachche
chidiya ghar ki sair ko pahunche

us ka har ek raaz naya hai
jangal ka andaz naya hai

newla chuha bandar dekha
lomad ghoda kutta dekha

jangal ke raja ko dekha
pinjre mein be-chaara baitha

sath hi ek talab bada tha
us mein magarmachh ek pada tha

chhote chhote sath the phirte
ek duje par aa aa girte

dur se ek chinghad si aai
hathi ne phir shakl dikhai

kangaroo bhi hum ne dekha
ud-bilao bhi achchha tha

dekha hum ne bhaalu aaya
ghum raha tha kala saya

kala tha ya gora gora
aql se lekin tha wo kora

richh ajab andaz se aae
aa kar achchhe nach dikhae

gende ki bhi baat ajab hai
dhaal ajab hai chaal ajab hai

aahu-e-tatar bhi dekha
barasingha sath wahin tha

bandar ke ausaf ko dekha
hum ne phir giraffe ko dekha

saras mor aur sanp jahan the
bakri aur khargosh wahan the

tota maina titar kawwa
aur thi ranga-rang ki chidiya

baz bhi dekha chil bhi dekhi
hum ne to ababil bhi dekhi

un se hum ne lutf uthaya
un ko dekh ke dil bahlaya

dekh ke chidiya-ghar jab aae
dil mein khushi ke phul khile the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close