daur-e-uftadgi

naghmagi git harf-o-nawa
nala-e-shauq saut-o-sada

ek bahri siyasat ke darbar mein
sar-nigun pa-ba-zanjir lae gae

sara simab naqd-o-nazar
sab tilismat-e-harf-o-hunar

parda-e-sehr-o-asrar se tut kar
maqtal-e-arzu ban gae

wo tarab-zar dil-e-qasr-e-gham
raat-bhar jagti aagahi yani

aqlim-jaan
mashinon ke khandaraat mein kho gae

wo jo aahang-e-alam tha
khwabon ka maskan tha aur harf-o-mani ki tathir tha

apni bedariyon ki saza katne ke liye
sang-o-ahan mein dhaala gaya

sajda-e-haq
tamanna ke aafaq tak dard ke qafile

kaba-e-nur tak aabla-pai ke silsile
zar-e-maghrib ki mizan mein tul gae

hum ki is dasht mein aabla-pa the sadiyon se
is rah ke sang-e-mil

apne qadmon ke hamraaz the
hum bhi is daur-e-uftadgi mein

bas
tamasha-e-ahl-e-karam dekhte rah gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close