yun kahne ko rahen mulk-e-wafa ki ujal gaya ek dhund mili jis rah mein paik-e-khayal gaya phir chand hamein kisi raat ki god mein dal gaya hum shahr mein thahren, aisa to ji ka rog nahin aur ban bhi hain sune un mein bhi hum se log nahin aur kuche ko tere lautne ka to sawal gaya tere lutf-o-ata ki dhum sahi mahfil mahfil ek shakhs tha insha nam-e-mohabbat mein kaamil ye shakhs yahan pamal raha, pamal gaya teri chah mein dekha hum ne ba-haal-e-kharab ise par ishq o wafa ke yaad rahe aadab ise tera nam o maqam jo puchha, hans kar tal gaya ek sal gaya, ek sal naya hai aane ko par waqt ki bhi ab hosh nahin diwane ko dil hath se is ke wahshi hiran ki misal gaya hum ahl-e-wafa ranjur sahi, majbur nahin aur shahr-e-wafa se dasht-e-junun kuchh dur nahin hum khush na sahi, par tere sar ka wabaal gaya ab husn ke gadh aur shahr-panahen suni hain wo jo aashna the un sab ki nigahen suni hain par tu jo gaya har baat ka ji se malal gaya