chaar jaanib hai yahi shor diwali aai sal-e-mazi ki tarah lai hai khushiyan imsal yun to har shakhs masarrat se khila jata hai phir bhi bachche hue jate hain khushi se behaal har bashar mahw hai is jashn ki tayyari mein taki khushiyon ka qamar aur ziya-bakhsh hai kar rahe hain sabhi mil-jul ke safai ghar ki un ki koshish hai ki tabinda har ek naqsh bane utar aae hain zamin par bhi falak se tare daman-e-charkh mein ai dosto kya rakkha hai rashk-aflak nazar aati hai har ek basti aaj dharti ko bhi aakash bana rakkha hai saf-shaffaf chamakte hue pur-nur makan sehn-e-gulshan mein khile jaise hon rangin gulab jhil mein tairte hon nur se mamur kanwal ya utar aae hon gardun se hazaron mahtab mujh ko bhati nahin wallah main sach kahta hun zahiri aur dikhawe ki sajawat yaro jab ki aazad hain sab mulk bhi apna aazad mujh ko achchhi nahin lagti hai banawat ab to hum ne ajdad ki aadat bhula rakkhi hain un ki nazron mein to har qaum barabar thi kanwal wo samajhte the har ek qaum ko apna bhai un ki is baat ke shahid hain abhi dasht-o-jabal dasht mein ram ne shabri ki ziyafat khai bhilni ke yahan khane mein bhi inkar na tha kya bataenge ye arbab-e-khirad ab mujh ko ghair sugriw shri-ram ka kya yar na tha ram ki fauj mein har qaum ke afrad na the kya hanuman na the fauj ki un ki salar main karun us ki shikayat to nahin hai beja kya tumhein aaj haqiqat mein hai ajdad se pyar kya tumhein chhut ka ye dars buzurgon ne diya kya tumhein firqa-parasti ki ijazat di thi ram ke manne walo kabhi itna socha kya buzurgon ne kisi qaum se nafrat ki thi mera kahna hai yahi hind ke bashindon se qalb ki apne safai karo pahle yaro dil mein nafrat ki siyahi ki jo aamezish hai aab-e-ulfat se dhulai karo pahle yaro ab to ulfat ke charaghon ko jala kar pahle ghar mein har ek ke nai jot jagana hai tumhein nur-e-ulfat se sajaana hai nae bhaarat ko mil ke tyauhaar diwali ka manana hai tumhein mujh ko khwahish hai usi shan ki diwali ki laxmi desh mein ulfat ki shab-o-roz rahe desh ko pyar se mehnat se sanwaren mil kar ahl-e-bhaarat ke dilon mein ye 'kanwal' soz rahe
This is a great diwali shayari hindi. True lovers of eid ki khushiyan shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this rakhi shayari bengali is truly a work of art. Please share if you liked this!!!