ek gharib shair ki maut par

lamhon mein zindagi ka safar yun guzar gaya
sae mein jaise koi musafir thahar gaya

makhmur tha nashe mein gham-e-rozgar ke
hosh aa gaya to umr ka paimana bhar gaya

daulat bhi us ke hath na aai tamam-umr
kuchh nam hi na apna zamane mein kar gaya

sab us ke khair-khwah bulandi pe rah gae
shohrat ki sidhiyon se wo niche utar gaya

mauqa-parast aab-o-hawa mein na ji saka
apni ana ki qaid mein jaan se guzar gaya

maut us ki sari mushkilen aasan kar gai
ek bojh zindagi ka tha sar se utar gaya

afsos kam hua magar hairat bahut hui
jab 'khwah-makhwah' ain zaifi mein mar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close