etiraf

baat kahna nahin aati mujhe likhna nahin aata
satr kahne ka hunar nazm banane ka saliqa

baat karne ka qarina mujhe kuchh bhi nahin aata
koi surat fan-e-arz-e-hunar aa jae mujhe bhi

sham ko sham kahun aur nigahon pe andhere utar aaen
subh ko subh likhun aur pas-e-satr-e-tapan dhup-bhara din nikal aae

kal bhi tasir-e-tahi tha mera daman-e-sukhan aaj bhi tasir-e-tahi hai
mera daman-e-dua sar-e-darbar-e-ata aaj bhi faizan-e-talab hai

mere maula tera banda tere ikram ke laeq nahin lekin
mera bachpan tere inam ka shaeq hai abhi tak

kya kahun koi bhi shai asl pe qaem nahin rahti
baat pairae ke sahra mein nikal jae to ghar laut na pae

istiare ki zaban chatne aa jae mere ijz ki shokhi mere jazbon ki hararat mere lafzon ki basarat
har kinaya mere tapte hue jazbaat-e-tapan rakh ki jhilli ki tarah ot mein le le

saf-shaffaf tapan rakh ki chadar
haule haule mere jazbaat ke sar tak sarak aae

mere maula mera fan bhi meri be-jaan mohabbat ki tarah nam se tahi hai
phir bhi ai malik-e-izzat

jaane kyun mere gul-andam murabbi mujhe chhune pe raza-mand nahin hain
jaane kyun mere gul-andam ko dar hai

rakh ke dher mein shayad koi jazba abhi zinda ho aur is dast
hina-rang ki poren na jhulas de

lafz bhobhal ki tahen hain
aatish-e-jazb kahin sarw-e-falak-bos ka daman na jala de

mere maula mujhe kuchh bhi nahin aata
baat karne ka hunar sher sunane ka saliqa

mere waris mera sina tera ghar hai
mere mohsin tera ghar bab-e-kusha hai

koi aae mera dil bab-e-kusha hai
lafz bhobhal ki tahen hain

sach to ye hai meri bhobhal meri be-jaan mohabbat ki tarah gham se tahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close