main hairan hun ki kis manzil mein hun meri chaaron taraf ek bhid si hai main tanha bhi nahin hun magar tanhai si mahsus hoti hai to kya ye hashr hai suna tha hashr hoga sari ruhen ek khuda hoga yahi mauqa hisab-o-adl ka hoga shifa kaam aaegi na rishta mo'atabar hoga samajh mein ye nahin aata khuda main hun ya ye sab hain ye sab ke sab khuda hain aur mujh se chahte hain hisab-e-dil hisab-e-jaan hisab rishta-e-qarz-e-garan tawaqqoa ki shuaen har taraf se meri jaanib aa rahi hain mujhe apni nazar apni samajh apni sada khoi si lagti hai kahin is khak mein luthdi si lagti hai main dhire dhire jaise ghat raha hun mit raha hun khuda main ho nahin sakta khuda mitta nahin hai main banda hun mera kya hashr hoga ye mera khwab hai ya waqia hai agar ye khwab hai to tut jae agar ye waqia hai hashr hai to us tawil-o-garm din ki sham ho jae main sona chahta hun mukammal khak hona chahta hun