hikmat ka but-KHana

sharab-e-shor se labrez hai duniya ka paimana
harif-e-din-o-danish hai mazaq-e-pir-e-mai-khana

bashar iblis ko tazwir-e-nau ka dars deta hai
muzayyan hai gunah-e-gunagun se har pari-khana

ulum-e-nau se raushan bazm hai tahzib-e-hazir ki
yad-e-tajdid ne dhaala hai dil-awez but-khana

ye mana maghribi talim ne parwaz bakhshi hai
ye mah-o-khur bhi ban jaenge ab qindil ka shana

khuda ke chahne wale abhi tak bhole-bhaale hain
bana rakha hai harz-e-jaan sada mazi ka afsana

gunah-e-taza ki takhliq se iblis qasir hai
dimagh-e-fitna-ju par hai musallat zof-e-pirana

bahut majbur be-chaara hai khud pirana-sali se
use malum kya hai masiyat ka taza paimana

khuda wale tajjub hai ki masum-o-muqaddas hain
azab-e-nau-ba-nau se hai murassa aaina-khana

rah-e-tashkik par rakhsh-e-hunar paiham khiraman hai
bahut mushkil hai fitrat ka abhi taskhir farmana

musawat-e-nazar ka muddaton se shor sunta hun
faza duniya ki hai lekin abhi tak firqa-warana

hawas ka dars to yaro bahut hi khub hai lekin
abhi quran ki tafhim se aajiz hai farzana

buton ka todna tha kar-e-asan ahd-e-mazi mein
wale mushkil hai dhana aaj ki hikmat ka but-khana

qulub-e-asr-e-hazir mein abhi iman dhal jae
faqiron ka nahin dekha hai ejaz-e-kalimana

tafakhur ke marizon ke liye iksir hoti hai
sarasar banda-e-'bebak' ki tarz-e-faqirana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close