hind ke jaan-baz sipahi

sar-ba-kaf hind ke jaan-baz-e-watan ladte hain
tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse padte hain

ek khate hain to do munh pe wahin jadte hain
hashr kar dete hain barpa ye jahan adte hain

josh mein aate hain dariya ki rawani ki tarah
khun dushman ka baha dete hain pani ki tarah

jab badhate hain qadam pichhe phir hatte hi nahin
hausle un ke jo badhte hain to ghatte hi nahin

dam-e-paikar harifon se ye katte hi nahin
ulte qadmon pe bila fath palatte hi nahin

hech hain un ke liye aahani diwaren bhi
rok sakti nahin faulad ki diwaren bhi

jazba-e-hubb-e-watan dil mein nihan rakhte hain
misl-e-khun josh ye rag rag mein rawan rakhte hain

sar hatheli pe to qabze mein sinan rakhte hain
aankh jhapkane ki bhi tab kahan rakhte hain

nikli hi padti hain khud myan se teghen un ki
dhundhti apna muqabil hain nigahen un ki

khinch ke dushman se gale tegh-e-rawan milti hai
dam dafna karne ko ghaarat-gar-e-jaan milti hai

khun ka bahta hai dariya ye jahan milti hai
maut ki god mein dushman ko aman milti hai

tegh ke ghat utarta hai muqabil un ka
ran mein pani bhi nahin mangta bismil un ka

war bhule se bhi padta nahin ochha un ka
hath hota hai zaban ki tarah sachcha un ka

jis ne dekha kabhi munh dekha na pichha un ka
maut bhi manti hai razm mein loha un ka

ran mein biphre hue sheron ki tarah ladte hain
saf kar dete hain jis saf pe ye ja padte hain

munh pe talwar ki chadhte hain sipar ki surat
tegh ke phal ko ye khate hain samar ki surat

hausle aur badhati hai khatar ki surat
maut mein bhi nazar aati hai zafar ki surat

chhalni ho jata hai zakhmon se agar tan un ka
tegh ke saya mein ban jata hai madfan un ka

razm ko bazm samajhte hain ye marda-r-watan
shahid-e-marg hai un ke liye chauthi ki dulhan

ye wo sar-baz hain rakhte hain baham tegh o kafan
hath dikhlate hain jab padta hai ghamsan ka ran

un ki shamshir-e-do-paikar pe zafar sadqe hai
un ka bartaniya ke nam pe sar sadqe hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close