hisar-e-tirgi

khwahishon ke lams mein dubi hui
daeron mein ghumti tanhaiyan

ihtibas-o-jabr ki tarik shab
muztarib ranjur gandum-gun sahar

aisa lagta hai andhera kah raha ho zer-e-lab
ai kabud-o-kor-chashm ai lain

tujh ko bakhshi thi kiran az-rah-e-dil-sozi magar
tu samajhta hai ki ye jud-o-sakha lutf-o-ataf

tera istehqaq hai aur tu khuda-e-aftab
jal bujhe muddat hui teri khudai ke diye

bhag jitna bhagna hai zulmaton ke qahr se
ho sake to phir jala bisri mohabbat ke charagh

marg-bar-alam mein ek ummid ki mubham kiran
ek bujhte dip ka maddham hirasan irtiash

kaun jaane in charaghon ki ziya kab tak chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close