holi khelne ki farmaish par

hai ye ahbab ko israr ki holi khelun
tod dun aaj to main zohd-o-taqaddus ka fusun

mast ho kar main piyun jam-e-sharab-e-hasti
hama-tan baada-e-ishrat ke nashe mein jhumun

apni sanjida rawish aur udasi chhodun
gham ke asnam ko but-khana-e-dil mein todun

jal uthen gham ke shabistan mein masarrat ke charagh
barbat-e-dil ke har ek tar ko phir se jodun

mujh ko bahlaenge kya ahl-e-tarab ke naghme
aur tyauhaar ki rangin khushi ke lamhe

main ne har naqsh-e-masarrat ko daba rakkha hai
aur dekhe hain hasin daur ke sundar sapne

suni suni nazar aati hai bisat-e-hasti
na kahin shisha-o-saghar na surur-o-masti

chashm-e-muflis mein larazte hue ashkon ke charagh
qalb-e-nadar hai jaise koi ujdi basti

aaj insan ka insan lahu pita hai
aaj tahzib ka sultan yunhi jita hai

dewta jabr pe rawan ke hirasan jaise
daman-e-arman ko nadar yunhi sita hai

aaj insan hua makr-o-dagha ka daftar
qalb-e-zardar hai ehsas-e-khudi ka khugar

be-khabar ho ke gharibon ki dabi aahon se
aadmi kibr-o-raunat ka bana hai paikar

holiyan khelte hain khun-e-bashar se munim
apne aamal pe hota nahin insan nadim

aah aflas se thukrai jawani ka shabab
fikr ki dhup se larzan hai misal-e-mujrim

qalb-e-mahkum hai is daur mein sunsan dayar
ho gaya hai dil-e-majbur dukhon se bezar

kya na aaega kabhi dahr mein parhalad ka daur
aag holi ki kisi roz banegi gulzar

mutmain aaj na duniya ka makin hai koi
dahr mein kibr se khali na jabin hai koi

aaj zardar bana baitha hai hiranyakashyap
aah is daur mein dam-saz nahin hai koi

har taraf kibr-o-raunat ke sulagte hain alaw
har taraf zist ke gulshan mein hai shoalon ka jamaw

aaj phir holika parhalad ko le baithi hai
phir se is jalti hui aag ko gulzar banao

phir badalne hain mujhe bekas-o-majbur ke bhag
aaj bhi daste hain nadar ko zardar ke nag

jazb-e-ehsas ke shoalon ki tapish se ek din
zar ki lanka mein laga dena hai ek bar phir aag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close