holi

fasl-e-bahaar aai hai holi ke rup mein
sola-singhaar lai hai holi ke rup mein

rahen pati hui hain abir-o-gulal se
haq ki sawari aai hai holi ke rup mein

pichkariyan liye hue dewi nashat ki
har ghar mein aaj aai hai holi ke rup mein

sindur hai ek hat mein ek hat mein gulal
taqdir muskurai hai holi ke rup mein

wo hum se mujtanib nahin holi ke nam par
hum ne murad pai hai holi ke rup mein

holi ne un ko aur bhi diwana kar diya
diwanon ki ban aai hai holi ke rup mein

rangon ki lahr lahr mein pichkariyan liye
qaus-e-quzah khud aai hai holi ke rup mein

dekho jise wo gharq hai rang-o-surur mein
ek main nahin khudai hai holi ke rup mein

'saghar' nawed-e-dawat-e-ab-o-hawa liye
baad-e-bahaar aai hai holi ke rup mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close