hum ko aagahi na do

hum jaise ji rahe hain
hum ko waise jine do

ye jo aagahi ke dukh hote hain
wo ruh ko zakhmi kar dete hain

aur ab tak sirf jismon ke ilaj ki research hui hai
aur wo research bhi kya

ki doctors ek maraz durust kar ke
dusra maraz uga dete hain

ye jo aagahi hai
ye to nasur se bhi bad-tar hai

ye to hanste baste insan ko
rula deti hai

ujad deti hai
ye jo andhera hai na jahaalat ka

wo fil-waqt kitna sukun-bakhsh hai
bachpan ke khilaunon se ji bahlane jaisa

ye jo duniya hai na
is ke kya kya azab hain

kahan kahan jangen ho rahi hain
aur us ke muharrikat kya kya hain

insan hi insan ko mar rahe hain
ye jo kaenat hai na

is mein kitna pani bacha hai
kitni oxigen baqi hai

kitne sayyare khalaon mein zamin ko khane ke liye ghum rahe hain
ye jo aagahi hai na

ye to jite-ji mar rahi hai
ab hum jite kab hain

hum to jine ke liye falsafe bante rahte hain
hum to jine ke liye sayyare dhundte rahte hain

hum to jine ki adakari karte hain
hum ko aagahi na do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close