jahan hum log rahte hain

jahan hum log rahte hain
wahan achchhe-bhale likhe-padhe hi log baste hain

imarat-e-ilm aur daulat ki azmat husn ko do-baala karti hai
tabassum muskurahat hi-hello aur ba-zahir khush-dili ki barish hoti hai

ki jis tezi se yan fashion badalta hai
ghurur-e-husn aur

zehn-o-dil ki sakht bhi tabdil hoti hai
rizalat buzdili aur asbiyat ko yan

umda kapdon achchhe chehron mein chhupate hain
magar jab ganw jate hain

wahan ke kachche ghar kheton mein baghon mein zara aaram karte hain
uchhalte-kudte bachchon ko aazadi se mard-o-zan ko hanste-bolte jab dekh aate hain

ki har gham aur khushi achchhe bure haalat mein wo sachche dil se sath rahte hain
na apne zahir-o-baatin mein koi bhed rakhte hain

jo nafrat hai to nafrat hai mohabbat dil se karte hain
ki man mein jo bhi hota hai zaban se saf kahte hain

magar phir laut kar jab shahr aate hain
amiron aalimon aur afsaron ke beach rahte hain

to ye mahsus hota hai
ki hum bimar hain lachaar hain tanha aur qallash hain

jahan hum log rahte hain
wahan sare hi aise log baste hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close