jangal ki lakDiyan

pahadi raston par
lakdiyon ki gathriyan sar par sambhaale

ja raha hai aadi-wasi auraton ka qafila
ye qafila kuchh dur ja kar

ganw ke bazar mein thahrega
aur phir lakdiyan sar se utari jaengi

khubsurat jangalon se kat kar
lai gai ye lakdiyan

bazar ki zinat banengi
lakdiyon ka bojh dho kar

lane wali aurten
khamosh rah kar

dil hi dil mein
apne hatte-katte mardon ki

jawan-mardi ke naghme gaengi
aur ganw ke bazar se kuchh dur

un ke mard
apni tez kulhadi se

jangal ka safaya karne mein
masruf honge

ye wahi jangal hai jis ka husn
qaem tha inhin shaidaiyon se

zarre zarre mein
isi jangal ke goshe goshe mein

shaidaiyon ki ruh basti thi
isi jangal mein un ka jism laghar ho chala hai

aur apni zindagi ko
baqi rakhne ka yahi ek rasta

in ko nazar aaya hai
jangal khatm kar ke khud wo jina chahte hain

hum taraqqi ke hazaron dawe
karne wale danish-mand

andar se bahut hi khokhle hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close