ye mast mast ghata, ye bhari bhari barsat tamam hadd-e-nazar tak ghulawaton ka saman faza-e-sham mein dore se padte jate hain jidhar nigah karen kuchh dhuan sa uthta hai dahak utha hai tarawat ki aanch se aakash ze-farsh ta-falak angdaiyon ka aalam hai ye mad-bhari hui purwaiyan sanakti hui jhinjhodti hai hari daliyon ko sard hawa ye shakh-sar ke jhulon mein peng padte hue ye lakhon pattiyon ka nachna ye raqs-e-nabaat ye be-khudi-e-musarrat ye walihana raqs ye tal-sam ye chhama-chham ki kan bajte hain hawa ke dosh pe kuchh udi udi shaklon ki nashe mein chur si parchhaiyan thirakti hui ufuq pe dubte din ki jhapakti hain aankhen khamosh soz-e-darun se sulag rahi hai ye sham! mere makan ke aage hai ek chauda sahn wasia kabhi wo hansta nazar aata hai kabhi wo udas isi ke bich mein hai ek ped pipal ka suna hai main ne buzurgon se ye ki umr us ki jo kuchh na hogi to hogi qarib chhiyanwe sal chhidi thi hind mein jab pahli jang-e-azadi jise dabane ke baad us ko ghadr kahne lage ye ahl-e-hind bhi hote hain kis qadar masum wo dar-o-gir wo aazadi-e-watan ki jang watan se thi ki ghanim-e-watan se ghaddari biphar gae the hamare watan ke pir o jawan dayar-e-hind mein ran pad gaya tha chaar taraf usi zamane mein kahte hain mere dada ne jab arz-e-hind sinchi khun se saputon ke miyan-e-sahn lagaya tha la ke ek pauda jo aab-o-atish-o-khak-o-hawa se palta hua khud apne qad se ba-josh-e-numu nikalta hua fusun-e-ruh banati ragon mein chalta hua nigah-e-shauq ke sanchon mein roz dhalta hua suna hai rawiyon se didani thi us ki uthan har ek ke dekhte hi dekhte chadha parwan wahi hai aaj ye chhitnar ped pipal ka wo tahniyon ke kamandal liye jatadhaari zamana dekhe hue hai ye ped bachpan se rahi hai is ke liye dakhli kashish mujh mein raha hun dekhta chup-chap der tak us ko main kho gaya hun kai bar is nazare mein wo us ki gahri jaden thin ki zindagi ki jaden? pas-e-sukun-e-shajar koi dil dhadakta tha main dekhta tha use hasti-e-bashar ki tarah kabhi udas kabhi shadman kabhi gambhir faza ka surmai rang aur ho chala gahra ghula ghula sa falak hai dhuan dhuan si hai sham hai jhutputa ki koi azhdaha hai mail-e-khwab sukut-e-sham mein darmandagi ka aalam hai ruki ruki si kisi soch mein hai mauj-e-saba ruki ruki si safen malgaji ghataon ki utar par hai sar-e-sahn raqs pipal ka wo kuchh nahin hai ab ek jumbish-e-khafi ke siwa khud apni kaifiyat-e-nil-gun mein har lahza ye sham dubti jati hai chhupti jati hai hijab-e-waqt sire se hai be-his-o-harakat ruki ruki dil-e-fitrat ki dhadkanen yak-lakht ye rang-e-sham ki gardish hi aasman mein nahin bas ek waqfa-e-tarik, lamha-e-shahla sama mein jumbish-e-mubham si kuchh hui fauran tuli ghata ke tale bhige bhige patton se hari hari kai chingariyan si phut padin ki jaise khulti jhapakti hon be-shumar aankhen ajab ye aankh-micholi thi nur-o-zulmat ki suhani narm lawen dete an-ginat jugnu ghani siyah khunuk pattiyon ke jhurmut se misal-e-chadar-e-shab-tab jagmagane lage ki thartharaate hue aansuon se saghar-e-sham chhalak chhalak pade jaise baghair san guman butun-e-sham mein in zinda qumqumon ki damak kisi ki soi hui yaad ko jagati thi wo be-panah ghata wo bhari bhari barsat wo scene dekh ke aankhen meri bhar aati thin meri hayat ne dekhi hain bis barsaten mere janam hi ke din mar gai thi man meri wo man ki shakl bhi jis man ki main na dekh saka jo aankh bhar ke mujhe dekh bhi saki na wo man main wo pisar hun jo samjha nahin ki man kya hai mujhe khilaiyon aur daiyon ne pala tha wo mujh se kahti thin jab ghir ke aati thi barsat jab aasman mein har su ghataen chhati thin ba-waqt-e-sham jab udte the har taraf jugnu diye dikhate hain ye bhuli-bhatki ruhon ko maza bhi aata tha mujh ko kuchh un ki baaton mein main un ki baaton mein rah rah ke kho bhi jata tha par is ke sath hi dil mein kasak si hoti thi kabhi kabhi ye kasak huk ban ke uthti thi yatim dil ko mere ye khayal hota tha! ye sham mujh ko bana deti kash ek jugnu to man ki bhatki hui ruh ko dikhata rah kahan kahan wo bichaari bhatak rahi hogi kahan kahan meri khatir bhatak rahi hogi ye soch kar meri haalat ajib ho jati palak ki ot mein jugnu chamakne lagte the kabhi kabhi to meri hichkiyan si bandh jatin ki man ke pas kisi tarah main pahunch jaun aur us ko rah dikhata hua main ghar laun dikhaun apne khilaune dikhaun apni kitab kahun ki padh ke suna to meri kitab mujhe phir is ke baad dikhaun use main wo copy ki tedhi-medhi lakiren bani thin kuchh jis mein ye harf the jinhen main ne likkha tha pahle-pahal aur us ko rah dikhata hua main ghar laun dikhaun phir use aangan mein wo gulab ki bel suna hai jis ko usi ne kabhi lagaya tha ye jab ki baat hai jab meri umr hi kya thi nazar se guzri thin kal chaar panch barsaten guzar rahe the mah-o-sal aur mausam par hamare shahar mein aati thi ghir ke jab barsat jab aasman mein udte the har taraf jugnu hawa ki mauj-e-rawan par diye jalae hue faza mein raat gae jab darakht pipal ka! hazaron jugnuon se koh-e-tur banta tha hazaron wadi-e-aiman thin jis ki shakhon mein ye dekh kar mere dil mein ye huk uthti thi ki main bhi hota inhin jugnuon mein ek jugnu to man ki bhatki hui ruh ko dikhata rah wo man main jis ki mohabbat ke phul chun na saka wo man main jis se mohabbat ke bol sun na saka wo man ki bhench ke jis ko kabhi main so na saka main jis ke aanchalon mein munh chhupa ke ro na saka wo man ki ghutnon se jis ke kabhi lipat na saka wo man ki sine se jis ke kabhi chimat na saka humak ke god mein jis ki kabhi main chadh na saka main zer-e-saya-e-ummid jis ke badh na saka wo man main jis se shararat ki dad pa na saka main jis ke hathon mohabbat ki mar kha na saka sanwara jis ne na mere jhandule baalon ko basa saki na jo honton se sune galon ko jo meri aaankhon mein aankhen kabhi na dal saki na apne hathon se mujh ko kabhi uchhaal saki wo man jo koi kahani mujhe suna na saki mujhe sulane ko jo loriyan bhi ga na saki wo man jo dudh bhi apna mujhe pila na saki wo man jo hath se apne mujhe khila na saki wo man gale se mujhe jo kabhi laga na saki wo man jo dekhte hi mujh ko muskura na saki kabhi jo mujh se mithai chhupa ke rakh na saki kabhi jo mujh se dahi bhi bacha ke rakh na saki main jis ke hath mein kuchh dekh kar dahak na saka patak patak ke kabhi panw main thunak na saka kabhi na khincha shararat se jis ka aanchal bhi racha saki meri aaankhon mein jo na kajal bhi wo man jo mere liye titliyan pakad na saki jo bhagte hue bazu mere jakad na saki badhaya pyar kabhi kar ke pyar mein na kami jo munh bana ke kisi din na mujh se ruth saki jo ye bhi kah na saki ja na bolungi tujh se jo ek bar khafa bhi na ho saki mujh se wo jis ko jutha laga munh kabhi dikha na saka kasafaton pe meri jis ko pyar aa na saka jo mitti khane pe mujh ko kabhi na pit saki na hath tham ke mujh ko kabhi ghasit saki wo man jo guftugu ki rau mein sun ke meri bad kabhi jo pyar se mujh ko na kah saki ghamad shararaton se meri jo kabhi ulajh na saki himaqaton ka meri falsafa samajh na saki wo man kabhi jise chaunkane ko main luk na saka main rah chhenkne ko jis ke aage ruk na saka jo apne hath se bahrup mere bhar na saki jo apni aaankhon ko aaina mera kar na saki gale mein dali na bahon ki phul-mala bhi na dil mein lauh-e-jabin se kiya ujala bhi wo man kabhi jo mujhe baddhiyan pahna na saki kabhi mujhe nae kapdon se jo saja na saki wo man na jis se ladakpan ke jhut bol saka na jis ke dil ke daran kunjiyon se khol saka wo man main paise bhi jis ke kabhi chura na saka saza se bachne ko jhuti qasam bhi kha na saka wo man ki aayat-e-rahmat hai jis ki chin-e-jabin wo man ki han se bhi hoti hai badh ke jis ki nahin dam-e-itab jo banti farishta rahmat ka jo rag chhedti jhunjhla ke bhi mohabbat ka wo man ki ghudkiyan bhi jis ke git ban jaen wo man ki jhidkiyan bhi jis ki phul barsaen wo man hum us se jo dam bhar ko dushmani kar len to ye na kah sake ab aao dosti kar len kabhi jo sun na saki meri totli baaten jo de saki na kabhi thappadon ki saughaten wo man bahut se khilaune jo mujh ko de na saki khiraj-e-sar-khushi-e-sarmadi jo le na saki wo man main jis se ladai kabhi na than saka wo man main jis pe kabhi mutthiyan na tan saka wo meri man main kabhi jis ki pith par na chadha wo meri man kabhi kuchh jis ke kan mein na rakha wo man kabhi jo mujhe kardhani pinha na saki jo tal hath se de kar mujhe nacha na saki jo mere hath se ek din dawa bhi pi na saki ki mujh ko zindagi dene mein jaan hi de di wo man na dekh saka zindagi mein jis ki chah usi ki bhatakti hui ruh ko dikhata rah ye soch soch ke aankhen meri bhar aati thin to ja ke sune bichhaune pe let rahta tha kisi se ghar mein na raaz apne dil ke kahta tha yatim thi meri duniya, yatim meri hayat yatim sham-o-sahar thi, yatim the shab-o-roz yatim meri padhai thi mere khel yatim yatim meri masarrat thi mera gham bhi yatim yatim aansuon se takiya bhig jata tha kisi se ghar mein na kahta tha apne dil ka bhed har ek se dur akela udas rahta tha kisi shamail-e-nadida ko main takta tha main ek wahshat-e-be-nam se hadakta tha guzar rahe the mah-o-sal aur mausam par isi tarah kai barsaten aain aur gain main rafta rafta pahunchne laga ba-sinn-e-shuur to jugnuon ki haqiqat samajh mein aane lagi ab un khilaiyon aur daiyon ki baaton par mera yaqin na raha mujh pe ho gaya zahir ki bhatki ruhon ko jugnu nahin dikhate charagh wo man-ghadat si kahani thi ek fasana tha wo be-padhi likhi kuchh auraton ki thi bakwas bhatakti ruhon ko jugnu nahin dikhate charagh ye khul gaya mere bahlane ko thin ye baaten mera yaqin na raha in fuzul qisson par hamare shahar mein aati hain ab bhi barsaten hamare shahar par ab bhi ghataen chhati hain hanuz bhigi hui surmai fazaon mein khutut-e-nur banati hain jugnuon ki safen faza-e-tira mein udti hui ye qindilen magar main jaan chuka hun ise bada ho kar kisi ki ruh ko jugnu nahin dikhate rah kaha gaya tha jo bachpan mein mujh se jhut tha sab magar kabhi kabhi hasrat se dil mein kahta hun ye jaante hue jugnu nahin dikhate charagh kisi ki bhatakti hui ruh ko magar phir bhi wo jhut hi sahi kitna hasin jhut tha wo jo mujh se chhin liya umr ke taqaze ne main kya bataun wo kitni hasin duniya thi jo badhti umr ke hathon ne chhin li mujh se samajh sake koi ai kash ahd-e-tifli ko jahan dekhna mitti ke ek reze ko numud-e-lala-e-khud-rau mein dekhna jannat kare nazara-e-kaunain ek gharaunde mein utha ke rakh le khudai ko jo hatheli par kare dawam ko jo qaid ek lamhe mein suna? wo qadir-e-mutlaq hai ek nannhi si jaan khuda bhi sajde mein jhuk jae samne us ke ye aql-o-fahm badi chiz hain mujhe taslim magar laga nahin sakte hum is ka andaza ki aadmi ko ye padti hain kis qadar mahngi ek ek kar ke wo tifli ke har khayal ki maut bulugh-e-sin mein wo sadme nae khayalon ke nae khayal ka dhachka nae khayal ki tis nae tasawwuron ka karb, al-aman ki hayat tamam zakhm nihan hai tamam nashtar hai ye chot kha ke sambhalna muhaal hota hai sukut raat ka jis waqt chhedta hai sitar kabhi kabhi teri pael ki aati hai jhankar to meri aaankhon se moti barasne lagte hain andheri raat ke parchhawen dasne lagte hain main jugnu ban ke to tujh tak pahunch nahin sakta jo tujh se ho sake ai man tu wo tariqa bata tu jis ko pa le wo kaghaz uchhaal dun kaise ye nazm main tere qadmon mein dal dun kaise nawa-e-dard se kuchh ji to ho gaya halka magar jab aati hai barsat kya karun is ko jab aasman mein udte hain har taraf jugnu sharab-e-nur liye sabz aabginon mein kanwal jalate hue zulmaton ke sinon mein jab un ki tabish-e-be-sakhta se pipal ka darakht sarw-e-charaghan ko mat karta hai na jaane kis liye aankhen meri bhar aati hain
Please share if you liked this!!!