sajida! kin yugon ki masafat samete hue is bayaban mein yunhi bhatakti rahogi in bagulon ke hamrah yun raqs karti rahogi kitne sahraon mein tum ne phode hain panw ke chhaale kitni bedar raaton se manga hai tum ne khiraj-e-tamanna sajida! kuchh kaho hijr ke kin zamanon mein ashkon ki mala piroi kin hisabon chukaya qarz-e-junun kaun se marhalon se guzar kar bana ruh ka pairahan kis tarah jaan se guzre hain tufan-e-gham kis tarah tund aandhi ki yalghaar mein tum ne apni rida ko sambhaala kaise yakh-basta tanhaiyon mein jashn-e-ruh o dil o jaan manaya shola-e-arzu mein kaise harf o nawa ko tapaya jagti raat ki tirgi ko kis tarah mutla-e-nur-e-yazdan banaya kitne sajdon se apni jabin ko sajaya sajida! dard ke raston par kab se mahw-e-safar ho tum ne in regzaron ki banjar zamin mein kitne raftar o guftar ke gul khilae is uqubat-kada ki siyahi mein kitne charagh-e-tamanna jalae sajida! is tag-o-dau se tum ne kya kabhi chehra-e-zindagi ko sanwara kya kisi dil mein koi sitara utara kya zamane ki raftar badli kya kisi tapte sahra ke zarron ko kundan banaya kitne zakhmon pe insan ke marham lagaya zulm ki dastan ko kabhi harf-e-shirin banaya sajida! sham hai zindagi ki thak ke so jao sab hao-hu bhul jao kadi dhup ke kos dar kos agle zamanon ke naqsh-e-qadam hain rang mausam badalne laga hai tum masiha nahin thak ke so jao raqs-e-junun bhul jao
This is a great tag pictures shayari. True lovers of shayari pyar tune kya kiya will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore sharon shayari hindi. Please share if you liked this!!!