kal se aaj tak

magar wo sab kuchh bhula chuki hai
ki jis ke hamrah bita bachpan

ki jis ke hamrah thi jawani
umangen parwan chadh rahi thin

wo be-khabar roz-o-shab ki yaaden
kabhi kabhi chhoti moti baaton pe ruth jaana

na baat karna na sath rahna
jo main manaun to wo na mane

wo pyar kya tha khuda hi jaane
magar wo sab kuchh bhula chuki hai

ki jis ke hamrah bita bachpan
ki jis ke hamrah thi jawani

jo hosh aaya
to us ne ek sath marne-jine ki khain qasmen

magar wo sab kuchh bhula chuki hai
ki jis ki zulfon mein zindagi ki tamam qadren ulajh gai thin

ki jis ke mathe ki surkh bindi mera nasiba jaga rahi thi
ki jis ki nazron se main ne yaksaniyat ki mai pi

ki jis ke nazuk labon pe mere liye tabassum ki raushni thi
ki jis ki sanson mein mere sangit ki sada thi

ki jis ke sine ki dhadkanon mein mere liye ek zalzala tha
ki jis ki guftar-e-narm-o-nazuk ne zahr-e-shirin pilae mujh ko

ki jis ke zanu pe mera sar tha
magar wo sab kuchh bhula chuki hai

ki jis ke hamrah bita bachpan
ki jis ke hamrah thi jawani

ki jis ne ek rah par hi gyarah baras guzare the sath mere
wo rah jis par mohabbaten thin masarraten thin

musibaten thin
magar wo zalim

ki jis ne apni khushi ke aage
na khud ko samjha na mujh ko jaana

tilism-e-husn-o-yaqin tuta
to wo nahin thi

jo ham-safar thi
main apni manzil mein apne raste pe ab akela hi ja raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close