kangal

tumhein bhi malum hai mujhe bhi
ki pas mere to kuchh nahin hai

jo zar-parasti ke is jahan mein
mujhe bhi kuchh mo'atabar bana de

na qimti hai libas mera
na mal-o-daulat zar-o-jawahar

ki jin mein tum ko sharik kar lun
meri to daulat ajib si hai

meri mata-e-jahan mein tum ko
bahut si ruswaiyan milengi

wafa ke aansu guman ki khushiyan
junun ki danaiyan milengi

mithas mein talkhiyan milengi
qalam ki sachchaiyan milengi

khulus-e-jazbaat ki lagan ki
athah gahraiyan milengi

meri to daulat ajib si hai
agar kaho to sharik kar lun

tumhein bhi apni mata-e-dil mein
ki pas mere to kuchh nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close