KHud ko KHud mein tahlil karo

chup-chap raho
warna khamoshi ki chadar

chaak ho jaegi
mumkin hai is ki ye paki bhi

paki na rah jae
aur yahin phir din ke dhalne par

ehsas-e-gunah badh jae
paki, paki na rah jae

aur yahin ye khamoshi ki chadar
odh na pae

kodh man ka wo ban jae
behtar hai chup-chap raho

is khamoshi ki chadar ko
gard-e-ana se dur rakho

khud ko duniya se dur rakho
duniya khud ban jao

apne andar tah-dar-tah baatin mein
ek jahan aabaad karo

akhlaq o sadaqat
sabr-o-qanaat

abd o riyazat
samten ban jaen

arz o sama ban jaen
khud ko khud mein tahlil karo

apni phir takmil karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close