koi aashiq kisi mahbuba se!

yaad ki rahguzar jis pe isi surat se
muddaten bit gai hain tumhein chalte chalte

khatm ho jae jo do chaar qadam aur chalo
mod padta hai jahan dasht-e-faramoshi ka

jis se aage na koi main hun na koi tum ho
sans thame hain nigahen ki na jaane kis dam

tum palat aao guzar jao ya mud kar dekho
garche waqif hain nigahen ki ye sab dhoka hai

gar kahin tum se ham-aghosh hui phir se nazar
phut niklegi wahan aur koi rahguzar

phir isi tarah jahan hoga muqabil paiham
saya-e-zulf ka aur jumbish-e-bazu ka safar

some lover to his beloved
dusri baat bhi jhuti hai ki dil jaanta hai

yan koi mod koi dasht koi ghat nahin
jis ke parde mein mera mah-e-rawan dub sake

tum se chalti rahe ye rah, yunhi achchha hai
tum ne mud kar bhi na dekha to koi baat nahin

this path of memory on which you have been trudging
for ages

if you press on a few steps further, it will wind off
to where one encounters the wilderness of oblivion,

at the bend beyond which neither i exist, nor you.
the eyes hold their breath and wonder

if you'd come back, pass by, or look back.


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close