lauh-e-mahfuz

mohalle ka jo rakhwala tha
us ne aadatan lathi baja kar

balghami aawaz se nara lagaya
jagte rahna

mere akhbar wale ne idhar
mamul se hat kar

mujhe aawaz de kar roz ka akhbar dala
yahi kuchh dudh wale ne kiya

aur pheri wale ne main sau kar subh jab utha to un masum logon ne
ishaaron aur kinayon se mujhe chaha batana aur samjhana jo shayad ek zamane ko pata tha ma-siwa mere

ki mere nam ki takhti se
mera nam ghaeb hai

ba-zahir faisla saib hai
in taza khudaon ka hamare na-khudaon ka

magar ye bhi unhen malum to hoga
jo khaliq hai zamin-o-asman ka

wo jo malik hai
raqam taqdir karta hai

wahi tahrir karta hai
nahin mumkin mitana

meri jaisi aajiz-o-majbur hasti ke liye jo kuchh bhi wo tahrir karta hai
jo wo taqdir karta hai

yaqin mera
mera iman hai us par

ki meri lauh par sab kuchh
usi tarah se kanda hai

mere khaliq ne mere nam ko
kal ki tarah se

aaj bhi mahfuz rakkha hai
wo mere nam ko

kal bhi yunhi mahfuz rakkhega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close