mahaul

ab sitaron mein jawani nahin raqsan koi
chand ke nur mein naghmat ke sailab nahin

dil mein baqi nahin umda hua tufan koi
ruh ab husn uchak lene ko betab nahin

ab farozan si nahin qaus-e-quzah ki rahen
inhi rahon se ufuq par se ghum aate the

muntazir ab nahin fitrat ki gulabi bahen
hum jinhen ja ke shafaq-zar se chum aate the

ab ghataon mein nahin hausle rindana se
ab fazaon mein hain walwale diwana se

ruh ehsas ki talkhi se bujhi jati hai
aise mahaul ke zindan se riha kar mujh ko

wahi pahle se hasin khwab ata kar mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close