maika

main ne chaha tha koi ujale sa hath
meri ungli pakad kar mujhe aage badhna sikhae

madrason daftaron shah-rahon makanon dukanon
talak le chale

lekin aisa hua
jis jagah aankhen kholi thi main ne

wahan hath sare roti banane pe mamur the
khauf aata tha ghar se nikalte hue

dagmagate qadam
gung alfaz

bebas nigahen liye
aage badhti thi main

chunki rukna koi hal nahin tha
so main apni gali se nikal kar jahan bhi gai

ajnabi meri sahmi hui zat pe
darte darte ada hoti har baat pe

fiqre kaste rahe
aur hanste rahe

tab se ab tak nahin yaad
kitne hi dariya bahe

kab gulabi badan sanwla ho gaya
ujli be-dagh aankhon mein

kab dard ke zard mausam utar aae
kab aaina dhul se bhar gaya

lekin ab daftaron shah-rahon makanon dukanon mein
jate hue khauf aata nahin

aasmanon ko chhuti imaraat se
ajnabi sar-zaminon se

unche qadon
tez-raftar dariyaon se khauf aata nahin

ab main chalti hun to mere hamrah chalti hain nazmen meri
man se nazmen

bhai se nazmen
waqt

tu ne jo mera gulabi badan sanwla kar
ujalon si nazmen mujhe di hain

tera bahut shukriya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close