mal-road se guzarte hue ek nazm

us raste par do jismon ka ek saya tha!
aur do ruhon ka ek maslak!

gunj raha tha us raste par harf ka pahla sannata
dhadkan ki tasbih musalsal ism anokhe padhti thi

ruswai ki shokh hawaen bebaki se raqsan thin
us raste par gahre baadal dhup kiran se ladte the

khwab ke panchhi an-jaani samton mein udanen bharte the!
phulon ne khushbu ka mantar phunk diya tha sinon par!

us raste par tum the (shayad khud se na-waqif)
us raste par main thi! aur main tum mein shamil thi

zad-e-safar mein ek thakan thi, ek dukhan aur ek yaqin!!
har qalb sarae hota hai aur ne hi guzargah har rasta

kuchh raston se laut bhi jaen, dur nahin ja sakte hum
kuchh manzar ban jate hain nadida hissa aankhon ka

kuchh lamhon ki qaid hamesha dil ko katni padti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close