maut ne raat ke parde mein kiya kaisa war raushani-e-subh watan ki hai ki matam ka ghubar marka sard hai soya hai watan ka sardar tantana sher ka baqi nahin suna hai kachhaar bekasi chhati hai taqdir phiri jati hai qaum ke hath se talwar giri jati hai uth gaya daulat-e-namus-e-watan ka waris qaum marhum ke eazaz-e-kuhan ka waris jaan-nisar-e-azali sher-e-deccan ka waris peshwaon ke garajte hue ran ka waris thi samai hui puna ki bahaar aankhon mein aakhiri daur ka baqi tha khumar aankhon mein maut mahrashtra ki thi ya teri marne ki khabar murdani chha gai insan to kya patthar par pattiyan jhuk gain murjha gae sahra ke shajar rah gae josh mein bahte hue dariya tham kar sard-o-shadab hawa ruk gai kohsaron ki raushni ghat gai do-chaar ghadi taron ki tha nigahban-e-watan dabdaba-e-am tera na digen panw pe tha qaum ko paigham dil raqibon ke larazte the ye tha kaam tera nind se chaunk pade sun jo liya nam tera yaad kar ke tujhe mazlum-e-watan roenge banda-e-rasm-e-jafa chain se ab soenge zindagi teri bahaar chamanistan-e-wafa aabru tere liye qaum se paiman-e-wafa aashiq-e-nam-e-watan kushta-e-arman-e-wafa mard-e-maidan-e-wafa jism-e-wafa jaan-e-wafa ho gai nazr-e-watan hasti-e-fani teri na to piri rahi teri na jawani teri auj-e-himmat pe raha teri wafa ka khurshed maut ke khauf pe ghaalib rahi khidmat ki umed ban gaya qaid ka farman bhi rahat ki nawed hue tariki-e-zindan mein tere baal saped phir raha hai meri nazron mein sarapa tera aah-o-qaid-e-sitam aur budhapa tera moajiza ashk-e-mohabbat ka dikhaya tu ne ek qatra se ye tufan uthaya tu ne mulk ko hasti-e-bedar banaya tu ne jazba-e-qaum ko jadu ko jagaya tu ne ek tadap aa gai sote hue armanon mein bijliyan kaund gain qaum ke viranon mein lash ko teri sanwaren na rafiqan-e-kuhan ho jabin ke liye sandal ki jagah khak-e-watan tar hua hai jo shahidon ke lahu se daman den usi ka tujhe punjab ke mazlum kafan shor-e-matam na ho jhankar ho zanjiron ki chahiye qaum ke bhisham ko chita tiron ki