mashwara

kisi ki yaad satati hai raat din tum ko
kisi ke pyar se majbur ho gai ho tum

tumhaara dard mujhe bhi udas rakhta hai
qarib aa ke bahut dur ho gai ho tum

tumhaari aanhken sada sogwar rahti hain
tumhaare hont taraste hain muskurane ko

tumhaari ruh ko tanhaiyan ata kar ke
ye sochti ho ki kya mil gaya zamane ko

gila karo na zamane ki sard-mehri ka
ki is khata mein zamane ka kuchh qusur nahin

tumhaare dil ne use muntakhab kiya ki jise
tumhaare gham ko samajhne ka bhi shuur nahin

tum us ki yaad bhula do ki bewafa hai wo
har ek dil nahin hota tumhaare dil ki tarah

tum apne pyar ko ruswa karo na ro ro kar
tumhaara pyar muqaddas hai bible ki tarah

ab us ke waste khud ko na yun tabah karo
ab imtihan ki tamanna se faeda kya hai

wo aasman ki jise tum na chhu sakogi kabhi
us aasman ki tamanna se faeda kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close