mazdur

ek mazdur
ki jis ke badan ne

kai dinon ki an-thak riyazat
cement ret aur bajri ke bich kati thi

ek pyali chae ki talab
belche ki mitti ke sath uchhaali thi

fikr-e-ayal ko
lohe ki redhi pe

inton ke sath dhakela tha
chand lamhe

sustane ki khwahish ko
sabr ke hathaude se kut dala tha

tab ja kar kahin
aakhir kar

aaj apni dawat manani thi
ghar mein murghi pakani thi

magar chamakti kirola ki
damakti makhluq ko kya khabar

beach sadak mein
jis ka shaper phata tha

jo la-waris lash ki surat pada tha
aaj us ne

apni dawat manani thi
ghar mein murghi pakani thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close