mere panw ke niche KHak nahin

mere panw ke niche khak nahin kisi aur ke panw ki mitti hai
darwaza khula

aur mah-e-zawal dar aaya
band makan ke rauzan-e-dar se

aage sat dulhan ki qabr hai
niche kuza-garon ki basti hai

kuza-garon ki basti mein mere panw ke niche khak nahin
bade qisse hain

bade qisse hain dil sabr-o-sawal ke sunne ke
badi baaten saif-o-kitab pe likhne ki

bade khwab hain odh ke sone ko
kabhi khwab likhe nahin jate

kabhi baaten suni nahin jatin
kabhi qisse kahe nahin jate

kuza-garon ki basti mein bade qisse hain aur khak nahin
mere panw ke niche khak nahin

aur mah-e-zawal dar aaya
band makan ke rauzan-e-dar se

aage sat dulhan ki qabr hai
niche kuza-garon ki basti hai

kuza-garon ki basti mein
mere panw ke niche khak nahin kisi aur ki panw ki mitti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close