mujhe rasta nahin milta

mujhe rasta nahin milta
main jauhad mein khile phulon ke haq mein bol kar

daldal ki tah mein dhans gaya hun
mein nahin kahta ki ye kis aasman ka kaun sa sayyara-e-bad hai

magar ye tah zamin ki aakhiri chhat hai
yahan din hi nikalta hai na sham-e-umr dhalti hai

parinda bhi nahin koi ki jis ke panw se koi
nawishta bandh kar bhejun to samjhun us se milne ka

bahana hath aaya hai
sitara bhi nahin koi ki jis se guftugu thahre

nawah-e-jism mein phaili khizar-asar tanhai meri sansen badhati hai
mujhe is daldali goshe se jaane ka koi rasta nahin milta

san ai meri khizar-asar tanhai
meri khatir bhi thoda sa taraddud kar

mujhe bhi to 'sikandar' ke janaze mein pahunchna hai
mujhe bhi aab-e-haiwan se chhalakti maut ka nauha sunana hai

mujhe bhi dur jaana hai
san ai meri khizar-asar tanhai

mujhe is tukhm-e-imkan ke dariche se nikalne de
numu ki chaal chalne de

mujhe rasta nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close