mujhe sharminda rakhte hain

ye har shab soch kar sota hun aane wali subhon mein
gulon se pattiyon se os ki bunden churani hain

shah aakash ki nazren-numa kirnon se pahle jag jaana hai
saba-e-ambarin ke lams ko mahsus karna hai

libas-e-sabz mein malbus alhad pattiyon ki baaten sunni hain
hasin doshiza ki muskan si kaliyon se do ek baat kar lunga

magar kuchh kar nahin pata ki rahat roke rakhti hai
koi afsana padhna ho kisi ki shairi pe baat karni ho

kisi takhliq se pahle khayal-o-fikr ko aazad rakhna ho
kisi sariq kisi shatir kisi kam-fahm se sachchai kahni ho

badi masum shaklon mein chhupe ayyar ko makkar ko shisha dikhana ho
faqih-e-waqt amir-e-shahr ka qazzaq se malun se rishta batana ho

magar ye kar nahin sakta maslahat khamosh rakhti hai
harim-e-mai-kade mein khanqahon math madrason mein

barahman shaikh se pir-e-mughan se saqiyon se aur waiz se
ye aksar sochta hun ja ke kah dun main

riya-o-kibr tahi-ikhlas aur bad-atwari se tere
jahan mein ishq ukhuwwat ilm aur akhlaq marte hain

magar main kah nahin sakta aqidat baz rakhti hai
tassub khud-pasandi bughz se kibr-o-hasad se

bisat-e-zehn-o-dil ko chahta hun pak kar lun
zar-o-imlak ki khwahish se apne aap ko aazad kar lun

ki jab jab sai karta hun hawas inkar karti hai
magar iqan hai mera hamare ahd ke bachche

mere kizb-o-riya ko makr ko aur be-imani ko
nafaq-o-bad-qimashi ko mere zahir ko baatin ko

huwaida kar ke chhodenge alal-ailan kah denge
ki mere bap aise the mere ustaz aise the

so un ki baat se aamal se sharminda hun main bhi
ye kahne se unhen izzat na rokegi

na un ko khauf rokega
unhen kuchh bhi na rokega

chalan badla hua hoga
hamari sari izzat sari zillat dusron ke haq ki pamali

kitab-e-haq ke pannon par bahut wazeh likhi hongi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close