muntazir hai sham

do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khidki par
shikasta-pursi na-ummid ashk aankhon mein bhar kar

is tarah sakit na baitho ek jagah par
kanch ko patthar ki sangat mein hi rahna ho

to ek rasta ye hai
wo faslon ko darmiyan rakhe

suno
ye zist aisi shai nahin mil paegi phir

do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khidki par
chalo halke se rangon ki lapeto odhni

baramde mein us se khelengi hawaen kasni
phir jamuni si raushni odhaegi ek makhmalin chadar

muqayyash us mein sitare tankne utrenge
dekho

zindagi ka aur ek din hai guzarne ko utho to
do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khidki par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close